Aap sabhi yeh jaante hi honge ki humari aaj ki duniya charo taraf se Computer technology aur Internet se ghiri huyi hai. Hum har ek kaam internet ke jariye karte hai,school ke kaam se lekar office ke kaam tak hume internet ki jarurat padti hai. Hamaare personal samaan se lekar gharelu samaan tak hum internet ke jariye kharid sakte hai aur humaara kaam ghar baithe bahut hi asan homjaata hai Aur humaara saara kaam internet asaan kar deta hai.
Ye saari suvidhaaye humko keval internet ke through milti hai aur is wajah se humaara saara kaam chutkiyo me ho jaata hai. Internet ke jariye hum paise ki len-den bhi karte hai. Internet me online payment ke bahut se jariye hai Unhi me se ek hai Paypal.
Paypal ka naam internet banking ki duniya ka sabse popular Naam hai par apko pata hai ki paypal actually me kaam kya karta hai ? Nhi na.. Lekin aaj apko is article ke jariye aapko paypal ke baare me sab kuch pata chal jayega jisse aapka paypal ka saara doubt ek pal me clear ho jaygaa. Aaj hum aapko paypal ke baare me wo har ek baat batayenge jo aap nhi jante, ki aakhir paypal hai kya?. paypal ka account kaise banta hai?. iske liye kya jaruri hona chahiye? Inhi sabhi sawaalo ka jawab hum aapko is article ke jariye denge.
# Paypal Kya hai?
Paypal ek american company hai jo online internet banking ka sabse bada platform hai.Jo ek aam aadmi se lekar Businessman ke funds, payments ko transfer or receive karne ke kaam aata hai Is Suvidha ke through koi bhi insan aasani or puri securities ke saath pure vishwas se apne paise ko transfer or receive dono kar sakta hai.
Paypal ko US ki ek company ne saal 1998 me start kiya aur kuch saalo ke baad ise eBay Ki company ne kharid liya.
Jab bhi koi vyakti apna online business start karna chahta hai or use Online payment karna hota hai toh veh vyakti jaydatar apne Credit Card ya fir Debit Card ke jariye payment ko transfer or receive karta hai ,lekin hume payment ko full securities ke saath bhejna or lena ho toh hume Payment services ki madad leni padti hai like Paypal or Google Wallet ki. Lekin hum paypal ki baat kare toh ye sabse acha or purana online payment service hai jo hume internet ke through national or inter-national paise transaction karne ki suvidhaa deta hai.
Paypal ke aaj duniya bhar me 100 Million logo ke member accounts hai, Isi se hi hum andaza laga sakte hai ki Yeh Suvidha money-transaction ke liye kitna bharosemand platform hai. Iski kadi securities ke chalte aaj 100 million users apna money-transaction bahut aasani se kar paa rahe hai. Paypal me apna account banane ke liye ya fir paise tranfer ya receive karne ke liye kisi takniki license ki jarurat nahi padti.
aaiye hum aapko batate hain ki paypal par account create karne ke liye aapke paas kya kya hona jaruri hai.
# Paypal Account Banane ke liye aapke paas kya Hona Chahiye ?
Jab bhi aap Paypal ka account banane wale hote hai iske liye aapke paas koi special chiz ya fir koi special documents ki jarurat nhi hoti. Paypal account ko banane ke liye aapke paas Pan Card, Bank account or ek international Credit ya fir Debit card hona chahiye. Agar aapke paas yeh teeno chiz hai toh 5 minute ke andar aap apna paypal account bana sakte ho or local work ke saath saath aap other foreign countries se products ya fir aapko jo bhi chiz purchase karni hai kar sakte ho.
Toh dosto aapne abhi Is Online Payment ki Suvidha ke baare me sampurn jankari haasil ki aur Paypal Account banane ke liye kin kin chizo ki avshyakta padti hai wo jaana. Ab hum aapko Paypal account ko banaate kaise hai uski details dete hai.
# Paypal me apna Account kaise banaaye ?
Step 1:
Sabse pehle aapko www.paypal.com website par jaana hai. Jaise hi aap is website me jaayenge aapke saamne ek window open hogi Usme aapko sign up par click karna hai uske baad aapko Individual account me click karna hai. Agar aap Business Account Kholna Chahte hain to aap Business account par click kijiye.
Aur usme poonchi gayi jankari ko dhyaan se fill up karna hai.
1. Individual account me click karne ke baad aapke saamne ek box aayga uspar aap Country select kare.
2. Second box me aap apna E-mail Address daaliye.
3. Third me aap password create kare.
4. Apne paasword ko re-enter kare.
5. Agar aapke saamne Captcha image ke letters ko daalne ko bole toh aap use daale or nahi aaye toh sidhe aap continue par click kare.
Step 2:
Continue ke option par click karne ke baad aapke saamne new window open hogi usme aapko aapki jankari fill up karni hai.
1. Pehle box me aap Apna First, Middle or Last name daaliye.
2. Uske baad aap apna Date Of Birth enter kare (DOB).
3. Nationality Select kare.(Aap Kis desh ke Naagrik hain.)
4. Apna full address daale.
5. Apna City/Town daale
6. State select kare
7. Apni City ka pincode enter kare
8. Apna mobile no. enter kare.
9. Agree policy me tick mark karke Create Account par click karde
Bus aapko itna hi karna hai aap dekhege ki aapka account sucessfully ban gaya hai. Aur uske baad aapke diye huye E-mail address par ek message aayega us link par click kare or click karne se aapka email verify ho jaayega.
# Paypal account kaise kaam karta hai?
Paypal account me hume apna E-mail address verify karaana hota hai, kyuki aapko aapke e-mail ke jariye he online transaction ke liye pehachaana jaayga. Isme me successfully Registration karne ke baad aapko, apne user profile me aapke Bank ki account details add karni padti hai Jisme aapko credit card ko bhi attach karna hota hai. Us details ki confirmation ke liye Paypal Apke bank account me do paise transfer karta hai for example:- 1.60 and 1.30. jise aapko apne account me enter karke bank details ko verify karaana hota hai.
Bus aapka kaam hogaya ab aap national aur inter-national koi money tarnsaction safely kar sakte hai or kisi bhi products ko purchase kar skte hai.
Note- Agar aap Logo ko Yeh Information Pasand aayi ho to Comment me Apna Utar de. Agar aapko Abhi Bhi Dikkat aa rahi hai to Niche di Gyi Video Jaroor Dekhiye. Thanks
Bahut badhiya article likha hai apne “Raghav Ji” …. बहुत ही बढ़िया … Thanks for this!! 🙂
Thank you Sir. Keep Visiting HindiSeHelp
kya baat hai bohot badhiya bro !! keep it up 🙂
Thank you Keep visiting Jandail ji.
Bhut hi accha samjaya sir….. I like this site…
Thanks Kavish Jain Keep Visiting #hindisehelp